TRY Blogging

toothpaste for dinner

Monday, October 13, 2008

khwaabon ko gadane wali

aye khwaabon ko gadane wali
yeh raaj tera muzko bata
kaise tere khwab itne kubsurat hote hain
kaise mitti ko rup deti tu
kyu sone se chamkate hain
lati kahan se hain rang tu
kaise khusbu bo deti hain
har khwaab ko kaise sahejti hain
kaise inko sambhalti hain
mera to har khwaab tutkar ankhon mein chub jata hain
raat din bas chuban
aur dard hi reh jata hain
in khwaabo ko shaklo suraat
kis fan se tu bakshti hain
kaise yeh salone sapnein palkon pe rakh leti hain
Mera to har khwaab yunhibe-shakl sa, be-awaaz
neend ko meri sehmata hain raat bhar
Kabhi bankar khwaab aa tu
Mera khwaab se khauff na rahe
aye khwaabon ko gadane wali
yeh raaj tera muzko bata

1 comments:

Anonymous said...

Mera raaz bas yehi ke
Mere khwabon ka chehra tu hai
Tu bhi apni aks liye
Ankhon mein sone chal
Tere bhi khwab khubsurat honge
Rup bhi rang bhi
Khushbu bhi bharjayengi bas
Phir na tere khwab beshakl se
Be awaaz se honge
Tere saaye ke sang sang
Main bhi aaun khwab mein
Dono ki baaton se phir
Neendh tera pachtayega
Aur mumma kahengi Nuktaa soja
Warna Gabbar aayega :P