TRY Blogging

toothpaste for dinner

Monday, November 17, 2008

Tanha Main...Tanha Tum

Dil ki har ek dhadkan tanha
dhadkano ke beech, khamoshi tanha
Pyaale tanha, Sharab tanha
Maikadon ki Madhoshi tanha
Tanha tum bhi, Main bhi Tanha
Tanhaiye ka alam tanha

Aao Tamanna,
baant le ye Tanhayi, hum tum
Maikadon ko, Madhoshi ko, raunak de
dhadkano ko naye sur taal
Aur beech ki khamoshi hum apne
Khwaabon se naap le
Aao Tamanna, is Tanhaiye ke
Maine badal de Hum dono

1 comments:

Anonymous said...

Kisko manzur raha tanhaiyon mein jeena..
Tanha toh woh dhadkane bhi udaas thi..
Pyale sharab maikadon ki madhoshi bhi roti rahi..

Par tum aur main tanha kab thay..

Ek kshan yaad nahi jab tumse tumhari saansen dur hui..
Na mujhse meri ruh..

Kabhi toh aaina dekhliya hota..

Toh aaj na kehte..

Ke tanhaiyon ke maaine badalna zaruri bhi hai..

Inke maaine toh kabse badalchuke..
Jab main tumhari dhadkanon mein aur tum mujhmein bas gaye thay..