TRY Blogging

toothpaste for dinner

Monday, November 3, 2008

Dhyaan Rakhta Hun

Saans bhi chalti rahe, dhyaan rakhta hun
Tere khyaal se jab bhi fursat niklati hain

Yun to zindagi meri ba-dastur jaari hain
Bas ek "Aah" mein jara si vahshat nikalti hain

Mehfilon mein to aaj bhi muskura lete hain
Tanhayi mein hi aapni musibat nikalti hain

Khushiyon ko meri beparwayi se nahi sarokar
Sirf gamon ki doli mere ghar se ahat nikalti hain

Saans bhi chalti rahe, dhyaan rakhta hun
Tere khyaal se jab bhi fursat niklati hain

4 comments:

Anonymous said...

Tere khayal se fursat nahi milti magar phir bhi jeeleti hun..
Har saans leti hun.. ke inmein tum base ho.. Yeh bhi tumse mohabbat karti hain.. Yeh bhi har ek pal mein har ek dhadkan mein tumhe yaad dilati hain.. isliye.. isiliye saansen leti hun main.. warna toh kabhi is bejaan shareer se ruh hojati alag..
agar tum woh ruh na hote.. agar tum woh ruh na hote..

mehfilon mein jaya hi nahi karti thi.. ab toh sabko cheekhkar chillakar bhi kehdun ke mujhe muskurana bhi aata hai..
nahi dikhati yeh laash sa chehra kisiko ..
agar tum woh ruh na hote.. agar tum woh ruh na hote..

Gham.. tumne diya ho tab bhi muskurakar kabul karti hun.. bas ke un aankhon se aansun nahi dekhsakti kabhi.. saare gham kabul hain mujhe.. muskurakar hi kabul karti rahungi.. ke pata hai tumhe in aankhon se bhi aansun nahi ache lagte tumhe..

rodeti .. aansun bahaleti kabhi..

agar tum woh ruh na hote.. agar tum woh ruh na hote..

Anonymous said...
This comment has been removed by a blog administrator.
Anonymous said...

Saanson ki parwaah ab na kiya karo..
Tumhare khayalon ka khayal hum karenge..
Jaan woh tumhari kab thi..
Un dhadkano ka khayal hum karenge..

Dard ko khud mein itna na khone do..
Ke dil mein basarte humko dard hojaye..
Ghamon ka ek ilaaj pyar bhi hai agar..
Toh meri aankhen un aasuwon ka khayal ab karenge..

Shor mein toh khudko bhuljate hain log..
Ke dhadkane bhi na sunayi dene lagte hain khudki..
Tanhayi mein kabhi "aah bhi na karna tum agar..
Aahat meri un musibaton ka khayal tab karenge..

Gham toh khushiyon ke baad aati hai..
un ghamon ka intezar rehta hai meri khushiyon ko bhi..
Unki doli mere angan bhijawado agar..
Us doli mein bhi dulhan saja hum karenge..

Chhukar aayi hai woh jo tumhare aangan ko toh ..
Us doli ka bhi khayal hum karenge..
Us doli mere angan bhijwado agar..
Us doli mein bhi dulhan saja hum karenge..

Us doli mein bhi dulhan saja hum karenge..

Anonymous said...

http://kashishhh.blogspot.com/2010/02/dulhan.html