TRY Blogging

toothpaste for dinner

Thursday, October 23, 2008

Sardiyaan

yaad hain tumhe,
pichale saal ki sardiyaa
har shab alaav jalaya tha
tumne meri khatir
kitni shaamein humne,
jothmuth ke shikwo ko tapa tha
vaadein, rasme, kasme, khwaab
roshnii dete the, garmi bhi

abke baras
woh vaadein thithur rahe hain
rasmo ki, kasamo ki chand saansein baaki hain
khwaab to neend chodd
kab ke chal base
laut aao kasamo ki, rasmo ki khatir
ke inki maut par akele rone ki takat nahi hain "Tamanna"
ke inki maut par akele rone ki takat nahi hain "Tamanna"

2 comments:

Anonymous said...

laashon ki dher jamakar kya haasil ho..
rodo.. aur dafn kardaalo in ghamon ko aansuwon ke saath inko..
zindagi na baatein na sahi.. in lamhon mein saath dene main hun..
chalo milkar dafna dete hain in laashon ko aansuwon ke saath..
chalo milkar dafna dete hain in laashon ko aansuwon ke saath..

yeh aansun toh pehle se hi behrahe .. kuchh aur sahi..
raakh bhi mitjayenge laashon ke.. dhuljayenge inke saath..

chalo in laashon ko dafna dete hain hum in aasuwon ke saath..

Anonymous said...

http://www.shtyle.fm/writing.do?id=4774


laashon ki dher jamakar kya haasil ho..
rodo.. aur dafn kardo in ghamon ko aansuwon ke saath..
zindagi na baantein na sahi.. in lamhon mein saath dene main hun..
chalo milkar dafna dete hain in laashon ko, aansuwon ke saath..
chalo milkar dafna dete hain in laashon ko, aansuwon ke saath..

yeh aansu toh pehle se hi behrahe hain.. kuchh aur sahi..
raakh bhi mitjayenge laashon ke.. dhuljayenge inke saath..

chalo in laashon ko dafna dete hain hum, in aasuwon ke saath..